Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwaja h Muhammad Naqshband

Rahmatullah Alayh

 

Aap Hazrat Khwaja  Muhammad Masoom Rahmatullah Alayh ke dosray sahibzaday hain. Asp ki wiladat basaadt 7 Ramadaan al mubarak 1034 Hijri baroz Juma tul mubarak hui. Imam Rabbani Hazrat Mujaddad Alif Sani Rahmatullah Alayh ne aakhri waqt mein Hazrat Khwaja  Masoom se irshad farmaya tha kay is saal mere wisaal ke baad tumahray haan aik larka peda hoga jo qurb e Elahi  ke kamalaat mein mere barabar hoga. Aap ne zahiri o baatini taleem apne waalid e majid Hazrat Khwaja  Muhammad Masoom Rahmatullah Alayh se haasil ki jis ki wajah se thoray hi arsay mein woh tamam asaraar aap par munkashif  ho gaye jin ki nisbat Hazrat Khwaja  farmate  thay kay yeh hetah drak e aqal o tasweer e khail se bahar hain .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Hazrat Qayyum Sani Khwaja  Muhammad ne farmaya kay Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ne mujh ko Khlilt e qayyum se sarfraz farmaya. Alhamdulillah! Woh Khilat tum ko bhi aataa ho. Mubarak ho. Is liye aap ko Qayyum saalis kehte hain .

Qayyumiat ke naveen saal aap ne Hajj Beet Allah ka iradah kya to elaan farmaya kay jo shakhs chahay hamaray sath Hajj par chalay aur zaad raah ki kuch fikar nah kare. Chunancha asp Rahmatullah Alayh ke sath pachees hazaar aadmi jin mein chaar so barray ulmaye mashaiykh bhi thay, Saadat e hajj haasil karne ke liye rawana hue. Jab Aurang Zaib Alamgir ne aap ki hajj rawaangi ki khabar suni to Dehli se terah mil bahar aa kar aap ka shahana istaqbaal kya aur tajdeed baet ki. Phir aap Dehli se hotay hue Hijaz Muqaddas ko rawana hue. Dehli mein aap ki khidmat mein bator hadia is qader zar o jawahir, naqad aur jins akhatta hue kay uthana mushkil tha. Kehte hain kay saahil samandar tak pahunchte pahunchte aap ke hamrahiaon ki tadaad satais hazaar ho chuki thi. Douran safar aap ko ilham howa kay tumahray mureedon ke ilawa saat hazaar aadmi jin par dozakh ki aag wajib thi tumhari sifarish se bahisht mein daakhil honge .

Aik dafaa Sirhind mein barish nah hui. Wali shehar bohat se logon ko sath le kar aap ki khidmat mein haazir howa aur barish ke liye dua ki darkhwast ki. Aap ne farmaya kay pachees roz tak barish nahi ho gi. Chunancha aap ka farmaan sach saabit howa aur chhbisoyn roz mosladaar barish hui .

Aap ka har amal, har feal aur har qadam sunnat Nabwi Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke mutabiq tha. Raat ke teesray hissay mein bedaar hotay aur baara rakaat namaz e Tehajad  ada farmatay. Namaz mein Sura Yaseen  parha karte thay. Namaz  e Fajar bajamaat  ada karte phir halqa muraqba karte. Is se farigh ho kar chaar rakaat  nimaaz e Ishraaq ada karte. Phir  doston ko apni tawajah se nawaazte. Din ka thora hisa guzarnay ke baad  daroon e khanah tashreef  le jatay aur dopehar ka khana bamah ahal o ayal tanawal farmatay phir qelola ke baad chaar rakaat nimaaz e fi Zawal ada farmate. Namaz Zohar ada farmanay ke baad Quran Pak ki tilawat karte aur Tafseer bayan karte. Namaz e Asar ke baad fiqa, hadees aur Imam Rabbani ka dars diya karte. Namaz e Maghrib ke baad  salat e Awabeen ada farmatay aur wazaif ada karne ke baad doston ko tawajah dete. Baad az namaz Esha ghar tashreef  le jatay aur raat ka khana khanay ke  baad aaraam farmatay .

Aap ne is dar e fani se  ba roz Jumah al mubarak 29 Muhram ul Haraam 1114 Hijri  ko rukhsat hue. Aap ne 81 Baras ki Umar payi. Aap apne waalid e  buzurag waar ke maqbarah mein madfoon hue.